Humne pucha is dil se ... Chahat teri kya hai bol !! . Icha kya hai tere man ki ... Apne dil ke raaj ko khol ! Kyun itna chup chup rahta hai ... Kyun sare dard ko sahta hai ...! Kyun cheekhta hai yun kisi kone mein chipkar....... Unke samne hone par kyu nahi kuch kehta hai ! Har waqt khamoshi theek nahi hoti .. Izhaar e mohabaat bhi kabhi kiya karo ! Maana wo badal gaye hai waqt ke saath .. Magar khud ko waqt dekar tum bhi jiya karo ..! Tamaana ek h apne dil se ... Na jaane kyun ye machalta hai ! Khud girta padta hai raahon mein .. Phir khud se hi sambhalta hai ! Dil ki Chahat dil tak jaana ... Dil Dhadkana hota hai ! Kyun itna chup sa rahta hai ..! Yun akele mein kyun rota hai !! Chaahat hai is dil ko unki ! Ye unke dil mein rahta hai ! Laakh mile dard -e -dil isko ! Na unke dil se kehta hai !